quotes about life in urdu

"Mian biwi mein larrai ghar ki tabahi, Mian biwi mein muhabbat ghar py Allah ki rahmat…!!!"

"Jab tumhary dil mein kisi keliye nafrat paida hony lagy to uski achaiyon ko yad karo…!!!"

"Zindagi aisy jeo ky koi hansy to tumhari waja sy hansy tum par nahi Aur koi roye to tumhary liye roye tumhari waja sy nahi…!!!"

"Apny qarabat daro ki kamzorian uchalny waly dosron ki izzaton par batein banany waly khud ko khandani aur dosron ko kamtar samajhny waly kabhi bhi "IZZAT DAAR" nahi hoty…!!!"



"Banda dheet na ho to sab sy ziyada khof usey apni beizati ka hota ha…!!!"

"Dunya daron par apny dukh zahir na karo kiun ky ye wahan chot zaroor lagaty hain jahan pahly sy zakham hota ha…!!!"

"Chota zahan wo ha jo thora bara sochny ky kabil hoty hi, dosron ko chota samajhny lagta ha…!!!"

"Gham: Agar gham sy bhi aag ki tarha dhuwan nikalta to jahan hamesha tareek rahta…!!!"

"Insan bary shoq sy, Insaniat agly chok sy…!!!"

"Gham: Agar gham sy bhi aag ki tarha dhuwan nikalta to jahan hamesha tareek rahta…!!!"

"Insan bary shoq sy, Insaniat agly chok sy…!!!"

"Kismat pahayye ky chakar ki manind ghomti ha jo kabhi uper jata aur kabhi neechy aata ha tum bhi jab uper jao to nechy walon ka hath tham lo kiun ky agly chakar mein tumhain unki zarorat parr jaye gi…!!!"

"Logon ko utni ahmiat do jitni wo tumhain dety hain kam do gy to magror kahlaogy ziyada do gy to gir jao gy…!!!"

"Rishton ka na hona itna takleef da nahi jitna ky rishton ky hoty howy ahsas ka mar jana…!!!"

quotes about life in urdu

admin :